kaliyon ka tabassum ho, ki tum ho ki saba ho
kaliyoñ kā tabassum ho, ki tum ho ki sabā ho
is raat ke sannāTe meñ, koī to sadā ho
yuuñ jism mahaktā hai havā-e-gul-e-tar se!
jaise koī pahlū se abhī uTh ke gayā ho
duniyā hama-tan-gosh hai, āhista se bolo
kuchh aur qarīb aao, koī sun na rahā ho
ye rañg, ye andāz-e-navāzish to vahī hai
shāyad ki kahīñ pahle bhī tū mujh se milā ho
yuuñ raat ko hotā hai gumāñ dil kī sadā par
jaise koī dīvār se sar phoḌ rahā ho
duniyā ko ḳhabar kyā hai mire zauq-e-nazar kī
tum mere liye rañg ho, ḳhushbū ho, ziyā ho
yuuñ terī nigāhoñ meñ asar DhūñD rahā huuñ
jaise ki tujhe dil ke dhaḌakne kā patā ho
is darja mohabbat meñ taġhāful nahīñ achchhā
ham bhī jo kabhī tum se gurezāñ hoñ to kyā ho
ham ḳhaak ke zarroñ meñ haiñ 'aḳhtar' bhii, guhar bhī
tum bām-e-falak se, kabhī utro to patā ho
kaliyon ka tabassum ho, ki tum ho ki saba ho
is raat ke sannaTe mein, koi to sada ho
yun jism mahakta hai hawa-e-gul-e-tar se!
jaise koi pahlu se abhi uTh ke gaya ho
duniya hama-tan-gosh hai, aahista se bolo
kuchh aur qarib aao, koi sun na raha ho
ye rang, ye andaz-e-nawazish to wahi hai
shayad ki kahin pahle bhi tu mujh se mila ho
yun raat ko hota hai guman dil ki sada par
jaise koi diwar se sar phoD raha ho
duniya ko KHabar kya hai mere zauq-e-nazar ki
tum mere liye rang ho, KHushbu ho, ziya ho
yun teri nigahon mein asar DhunD raha hun
jaise ki tujhe dil ke dhaDakne ka pata ho
is darja mohabbat mein taghaful nahin achchha
hum bhi jo kabhi tum se gurezan hon to kya ho
hum KHak ke zarron mein hain 'aKHtar' bhi, guhar bhi
tum baam-e-falak se, kabhi utro to pata ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.