dil ke diwar-o-dar pe kya dekha
dil ke dīvār-o-dar pe kyā dekhā
bas tirā naam hī likhā dekhā
terī āñkhoñ meñ ham ne kyā dekhā
kabhī qātil kabhī ḳhudā dekhā
apnī sūrat lagī parā.ī sī
jab kabhī ham ne ā.īna dekhā
haa.e andāz tere rukne kā
vaqt ko bhī rukā rukā dekhā
tere jaane meñ aur aane meñ
ham ne sadiyoñ kā fāsla dekhā
phir na aayā ḳhayāl jannat kā
jab tire ghar kā rāsta dekhā
dil ke diwar-o-dar pe kya dekha
bas tera nam hi likha dekha
teri aankhon mein hum ne kya dekha
kabhi qatil kabhi KHuda dekha
apni surat lagi parai si
jab kabhi hum ne aaina dekha
hae andaz tere rukne ka
waqt ko bhi ruka ruka dekha
tere jaane mein aur aane mein
hum ne sadiyon ka fasla dekha
phir na aaya KHayal jannat ka
jab tere ghar ka rasta dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.