dhyan mein aa kar baiTh gae ho tum bhi nan
dhyan mein aa kar baiTh gae ho tum bhi nan
Ambareen Haseeb ambar
MORE BYAmbareen Haseeb ambar
dhyān meñ aa kar baiTh ga.e ho tum bhī naañ
mujhe musalsal dekh rahe ho tum bhī naañ
de jaate ho mujh ko kitne rañg na.e
jaise pahlī baar mile ho tum bhī naañ
har manzar meñ ab ham donoñ hote haiñ
mujh meñ aise aan base ho tum bhī naañ
ishq ne yuuñ donoñ ko aamez kiyā
ab to tum bhī kah dete ho tum bhī naañ
ḳhud hī kaho ab kaise sañvar saktī huuñ maiñ
ā.īne meñ tum hote ho tum bhī naañ
ban ke hañsī hoñToñ par bhī rahte ho
ashkoñ meñ bhī tum bahte ho tum bhī naañ
merī band āñkheñ tum paḌh lete ho
mujh ko itnā jaan chuke ho tum bhī naañ
maañg rahe ho ruḳhsat aur ḳhud hī
haath meñ haath liye baiThe ho tum bhī naañ
dhyan mein aa kar baiTh gae ho tum bhi nan
mujhe musalsal dekh rahe ho tum bhi nan
de jate ho mujh ko kitne rang nae
jaise pahli bar mile ho tum bhi nan
har manzar mein ab hum donon hote hain
mujh mein aise aan base ho tum bhi nan
ishq ne yun donon ko aamez kiya
ab to tum bhi kah dete ho tum bhi nan
KHud hi kaho ab kaise sanwar sakti hun main
aaine mein tum hote ho tum bhi nan
ban ke hansi honTon par bhi rahte ho
ashkon mein bhi tum bahte ho tum bhi nan
meri band aankhen tum paDh lete ho
mujh ko itna jaan chuke ho tum bhi nan
mang rahe ho ruKHsat aur KHud hi
hath mein hath liye baiThe ho tum bhi nan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.