Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chalte hue mujh mein kahin Thahra hua tu hai

Abhishek Shukla

chalte hue mujh mein kahin Thahra hua tu hai

Abhishek Shukla

MORE BYAbhishek Shukla

    chalte hue mujh meñ kahīñ Thahrā huā hai

    rasta nahīñ manzil nahīñ achchhā huā hai

    ta.abīr tak aate tujhe chhūnā paḌegā

    lagtā hai ki har ḳhvāb meñ dekhā huā hai

    mujh jism miTTī pe tire naqsh-e-kaf-e-pā

    aur maiñ bhī baḌā ḳhush ki are kyā huā hai

    maiñ yuuñ nahīñ apnī hifāzat meñ lagā huuñ

    mujh meñ kahīñ lagtā hai ki rakkhā huā hai

    vo nuur ho aañsū ho ki ḳhvāboñ dhanak ho

    jo kuchh bhī in āñkhoñ meñ ikaTThā huā hai

    is ghar meñ na ho kar bhī faqat rahegā

    dīvār-o-dar-e-jāñ meñ samāyā huā hai

    chalte hue mujh mein kahin Thahra hua tu hai

    rasta nahin manzil nahin achchha hua tu hai

    tabir tak aate hi tujhe chhuna paDega

    lagta hai ki har KHwab mein dekha hua tu hai

    mujh jism ki miTTi pe tere naqsh-e-kaf-e-pa

    aur main bhi baDa KHush ki are kya hua tu hai

    main yun hi nahin apni hifazat mein laga hun

    mujh mein kahin lagta hai ki rakkha hua tu hai

    wo nur ho aansu ho ki KHwabon ki dhanak ho

    jo kuchh bhi in aankhon mein ikaTTha hua tu hai

    is ghar mein na ho kar bhi faqat tu hi rahega

    diwar-o-dar-e-jaan mein samaya hua tu hai

    RECITATIONS

    Fahad Husain

    Fahad Husain,

    Fahad Husain

    chalte hue mujh mein kahin Thahra hua tu hai Fahad Husain

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now