ba-wafai ki ada pane laga hun tujh mein
bā-vafā.ī kī adā paane lagā huuñ tujh meñ
ai jafā-dost ye kyā dekh rahā huuñ tujh meñ
tū ne ab tak mujhe kāñToñ ke sivā kuchh na diyā
maiñ to ik phuul kī mānind khilā huuñ tujh meñ
tū vo dariyā hai ki jis kā koī sāhil hī nahīñ
maiñ safīne kī tarah Duub gayā huuñ tujh meñ
merā da.avā hai ki tū ne bhī na dekhe hoñge
aise jalve ki jo maiñ dekh chukā huuñ tujh meñ
tujh se bichhḌe to zamāna huā lekin ab tak
yaad aatā hai ki kuchh bhuul gayā huuñ tujh meñ
tere chehre se haTā.ī nahīñ jātīñ nazreñ
kyā ḳhabar der se kyā dekh rahā huuñ tujh meñ
paas itnā ki tirī saañs se Takrātī hai saañs
duur itnā ki tujhe DhūñDh rahā huuñ tujh meñ
bevafā terī zabāñ par ye vafā kī bāteñ
aisā lagtā hai ki maiñ bol rahā huuñ tujh meñ
ba-wafai ki ada pane laga hun tujh mein
ai jafa-dost ye kya dekh raha hun tujh mein
tu ne ab tak mujhe kanTon ke siwa kuchh na diya
main to ek phul ki manind khila hun tujh mein
tu wo dariya hai ki jis ka koi sahil hi nahin
main safine ki tarah Dub gaya hun tujh mein
mera dawa hai ki tu ne bhi na dekhe honge
aise jalwe ki jo main dekh chuka hun tujh mein
tujh se bichhDe to zamana hua lekin ab tak
yaad aata hai ki kuchh bhul gaya hun tujh mein
tere chehre se haTai nahin jatin nazren
kya KHabar der se kya dekh raha hun tujh mein
pas itna ki teri sans se Takraati hai sans
dur itna ki tujhe DhunDh raha hun tujh mein
bewafa teri zaban par ye wafa ki baaten
aisa lagta hai ki main bol raha hun tujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.