Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aahan mein Dhalti jaegi ikkiswin sadi

Bashir Badr

aahan mein Dhalti jaegi ikkiswin sadi

Bashir Badr

MORE BYBashir Badr

    aahan meñ Dhaltī jā.egī ikkīsvīñ sadī

    phir bhī ġhazal sunā.egī ikkīsvīñ sadī

    baġhdād dillī masco london ke darmiyāñ

    bārūd bhī bichhā.egī ikkīsvīñ sadī

    jal kar jo raakh ho ga.iiñ dañgoñ meñ is baras

    un ghuggiyoñ meñ aa.egī ikkīsvīñ sadī

    tahzīb ke libās utar jā.eñge janāb

    dollar meñ yuuñ nachā.egī ikkīsvīñ sadī

    le ke āsmān pe tāroñ ke ās-pās

    america ko girā.egī ikkīsvīñ sadī

    ik yātrā zarūr ho ninnānve ke paas

    rath par savār aa.egī ikkīsvīñ sadī

    phir se ḳhudā bānegā koī nayā jahāñ

    duniyā ko yuuñ miTā.egī ikkīsvīñ sadī

    compurteroñ se ġhazleñ likheñge 'bashīr-badr'

    'ġhālib' ko bhuul jā.egī ikkīsvīñ sadī

    aahan mein Dhalti jaegi ikkiswin sadi

    phir bhi ghazal sunaegi ikkiswin sadi

    baghdad dilli masco london ke darmiyan

    barud bhi bichhaegi ikkiswin sadi

    jal kar jo rakh ho gain dangon mein is baras

    un ghuggiyon mein aaegi ikkiswin sadi

    tahzib ke libas utar jaenge janab

    dollar mein yun nachaegi ikkiswin sadi

    le ja ke aasman pe taron ke aas-pas

    america ko giraegi ikkiswin sadi

    ek yatra zarur ho ninnanwe ke pas

    rath par sawar aaegi ikkiswin sadi

    phir se KHuda banega koi naya jahan

    duniya ko yun miTaegi ikkiswin sadi

    compurteron se ghazlen likhenge 'bashir-badr'

    'ghaalib' ko bhul jaegi ikkiswin sadi

    Source :
    • Book : Aahat (Pg. 35)
    • Author : Bashir Badar
    • Publication : M.R. Publications (2011)
    • Edition : 2011

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now