jab yar ne raKHt-e-safar bandha kab zabt ka para us din tha
jab yaar ne raḳht-e-safar bāñdhā kab zabt kā paarā us din thā
har dard ne dil ko sahlāyā kyā haal hamārā us din thā
jab ḳhvāb huiiñ us kī āñkheñ jab dhund huā us kā chehra
har ashk sitāra us shab thā har zaḳhm añgāra us din thā
sab yāroñ ke hote sote ham kis se gale mil kar rote
kab galiyāñ apnī galiyāñ thiiñ kab shahr hamārā us din thā
jab tujh se zarā ġhāfil Thahre har yaad ne dil par dastak dī
jab lab pe tumhārā naam na thā har dukh ne pukārā us din thā
ik tum hī 'farāz' na the tanhā ab ke to balā vājib aa.ī
ik bhiiḌ lagī thī maqtal meñ har dard kā maarā us din thā
jab yar ne raKHt-e-safar bandha kab zabt ka para us din tha
har dard ne dil ko sahlaya kya haal hamara us din tha
jab KHwab huin us ki aankhen jab dhund hua us ka chehra
har ashk sitara us shab tha har zaKHm angara us din tha
sab yaron ke hote sote hum kis se gale mil kar rote
kab galiyan apni galiyan thin kab shahr hamara us din tha
jab tujh se zara ghafil Thahre har yaad ne dil par dastak di
jab lab pe tumhaara nam na tha har dukh ne pukara us din tha
ek tum hi 'faraaz' na the tanha ab ke to bala wajib aai
ek bhiD lagi thi maqtal mein har dard ka mara us din tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.