jab tak safed aandhi ke jhonke chale na the
jab tak safed āñdhī ke jhoñke chale na the
itne ghane daraḳhtoñ se patte gire na the
iz.hār par to pahle bhī pābandiyāñ na thiiñ
lekin baḌoñ ke sāmne ham bolte na the
un ke bhī apne ḳhvāb the apnī zarūrateñ
ham-sā.e kā magar vo galā kāTte na the
pahle bhī log milte the lekin ta.alluqāt
añgḌā.ī kī tarah to kabhī TūTte na the
pakke gharoñ ne niiñd bhī āñkhoñ kī chhīn lī
kachche gharoñ meñ raat ko ham jāgte na the
rahte the dāstānoñ ke māhaul meñ magar
kyā log the ki jhuuT kabhī bolte na the
'az.har' vo maktaboñ ke paḌhe mo'atabar the log
baisākhiyoñ pe sirf sanad kī khaḌe na the
jab tak safed aandhi ke jhonke chale na the
itne ghane daraKHton se patte gire na the
izhaar par to pahle bhi pabandiyan na thin
lekin baDon ke samne hum bolte na the
un ke bhi apne KHwab the apni zaruraten
ham-sae ka magar wo gala kaTte na the
pahle bhi log milte the lekin talluqat
angDai ki tarah to kabhi TuTte na the
pakke gharon ne nind bhi aankhon ki chhin li
kachche gharon mein raat ko hum jagte na the
rahte the dastanon ke mahaul mein magar
kya log the ki jhuT kabhi bolte na the
'azhar' wo maktabon ke paDhe mo'atabar the log
baisakhiyon pe sirf sanad ki khaDe na the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.