main kal tanha tha KHilqat so rahi thi
maiñ kal tanhā thā ḳhilqat so rahī thī
mujhe ḳhud se bhī vahshat ho rahī thī
use jakḌā huā thā zindagī ne
sirhāne maut baiThī ro rahī thī
khulā mujh par ki merī ḳhush-nasībī
mire raste meñ kāñTe bo rahī thī
mujhe bhī nā-rasā.ī kā samar de
mujhe terī tamannā jo rahī thī
mirā qātil mire andar chhupā thā
magar bad-nām ḳhilqat ho rahī thī
baġhāvat kar ke ḳhud apne lahū se
ġhulāmī daaġh apne dho rahī thī
laboñ par thā sukūt-e-marg lekin
mire dil meñ qayāmat so rahī thī
ba-juz mauj-e-fanā duniyā meñ 'mohsin'
hamārī justujū kis ko rahī thī
main kal tanha tha KHilqat so rahi thi
mujhe KHud se bhi wahshat ho rahi thi
use jakDa hua tha zindagi ne
sirhane maut baiThi ro rahi thi
khula mujh par ki meri KHush-nasibi
mere raste mein kanTe bo rahi thi
mujhe bhi na-rasai ka samar de
mujhe teri tamanna jo rahi thi
mera qatil mere andar chhupa tha
magar bad-nam KHilqat ho rahi thi
baghawat kar ke KHud apne lahu se
ghulami dagh apne dho rahi thi
labon par tha sukut-e-marg lekin
mere dil mein qayamat so rahi thi
ba-juz mauj-e-fana duniya mein 'mohsin'
hamari justuju kis ko rahi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.