phul se logon ko miTTi mein mila kar aaegi
phuul se logoñ ko miTTī meñ milā kar aa.egī
chal rahī hai jo havā sab kuchh fanā kar jā.egī
zindagī guzregī mujh ko rauñd kar pairoñ tale
maut lekin mujh ko siine se lagā kar jā.egī
vo kisī kī yaad meñ jaltī huī sham-e-firāq
ḳhud bhī pighlegī mirī āñkhoñ ko bhī pighlā.egī
aane vaale mausamoñ kī sar-phirī pāgal huā
ek din terī judā.ī ke tarāne gā.egī
aane vaalā vaqt bhī ro.egā mere vāste
aane vaale mausamoñ ko yaad merī aa.egī
ai mire sāthī ye tere chhoḌ jaane kī kasak
mujh ko dīmak kī tarah andar hī andar khā.egī
ye husūl-e-zar kī ḳhvāhish ek la.anat kī tarah
āḳhir ik din tujh ko apnoñ se judā kar jā.egī
zindagī ik bad-chalan āvāra laḌkī hai 'sarosh'
dekh lenā ek din ye bhī tujhe Thukrā.egī
phul se logon ko miTTi mein mila kar aaegi
chal rahi hai jo hawa sab kuchh fana kar jaegi
zindagi guzregi mujh ko raund kar pairon tale
maut lekin mujh ko sine se laga kar jaegi
wo kisi ki yaad mein jalti hui sham-e-firaq
KHud bhi pighlegi meri aankhon ko bhi pighlaegi
aane wale mausamon ki sar-phiri pagal hua
ek din teri judai ke tarane gaegi
aane wala waqt bhi roega mere waste
aane wale mausamon ko yaad meri aaegi
ai mere sathi ye tere chhoD jaane ki kasak
mujh ko dimak ki tarah andar hi andar khaegi
ye husul-e-zar ki KHwahish ek lanat ki tarah
aaKHir ek din tujh ko apnon se juda kar jaegi
zindagi ek bad-chalan aawara laDki hai 'sarosh'
dekh lena ek din ye bhi tujhe Thukraegi
- Book : Adab-o-Saqafat International (Pg. 95)
- Author : Shakeelsarosh
- Publication : Misal Publishers Raheem Center Press Market Ameen Pur Bazar, Faisalbad, Pakistan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.