Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zaKHm sab usko dikha kar raqs kar

Arif Imam

zaKHm sab usko dikha kar raqs kar

Arif Imam

MORE BYArif Imam

    zaḳhm sab us ko dikhā kar raqs kar

    eḌiyoñ tak ḳhuuñ bahā kar raqs kar

    jāma-e-ḳhākī pe musht-e-ḳhāk Daal

    ḳhud ko miTTī meñ milā kar raqs kar

    is ibādat nahīñ koī qazā

    sar ko sajde se uThā kar raqs kar

    duur haT sāya-e-mehrāb se

    dhuup meñ ḳhud ko jalā kar raqs kar

    bhuul sab kuchh magar tasvīr-e-yār

    apne siine se lagā kar raqs kar

    toḌ de sab halqa-e-būd-o-nabūd

    zulf ke halqe meñ kar raqs kar

    us chashm-e-mast ko nazroñ meñ rakh

    ik zarā mastī meñ aa kar raqs kar

    apne pairoñ se apnā-āp rauñd

    apnī hastī ko miTā kar raqs kar

    us ke darvāze pe kar daf bajā

    us ko khiḌkī meñ bulā kar raqs kar

    zaKHm sab us ko dikha kar raqs kar

    eDiyon tak KHun baha kar raqs kar

    jama-e-KHaki pe musht-e-KHak Dal

    KHud ko miTTi mein mila kar raqs kar

    is ibaadat ki nahin koi qaza

    sar ko sajde se uTha kar raqs kar

    dur haT ja saya-e-mehrab se

    dhup mein KHud ko jala kar raqs kar

    bhul ja sab kuchh magar taswir-e-yar

    apne sine se laga kar raqs kar

    toD de sab halqa-e-bud-o-nabud

    zulf ke halqe mein ja kar raqs kar

    us ki chashm-e-mast ko nazron mein rakh

    ek zara masti mein aa kar raqs kar

    apne hi pairon se apna-ap raund

    apni hasti ko miTa kar raqs kar

    us ke darwaze pe ja kar daf baja

    us ko khiDki mein bula kar raqs kar

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now