apnī takmīl kar rahā huuñ maiñ
us galī meñ bikhar rahā huuñ maiñ
jitnā jitnā jhukā rahā huuñ sar
utnā utnā ubhar rahā huuñ maiñ
ik sahīfa huuñ āsmānoñ kā
aur zamīñ par utar rahā huuñ maiñ
gardish-e-vaqt roknī hai mujhe
is liye raqs kar rahā huuñ maiñ
qais ke bhī qadam nahīñ haiñ jahāñ
us jagah se guzar rahā huuñ maiñ
pūchh lo mujh se āsmān ke raaz
kuchh dinoñ tak udhar rahā huuñ maiñ
apni takmil kar raha hun main
us gali mein bikhar raha hun main
jitna jitna jhuka raha hun sar
utna utna ubhar raha hun main
ek sahifa hun aasmanon ka
aur zamin par utar raha hun main
gardish-e-waqt rokni hai mujhe
is liye raqs kar raha hun main
qais ke bhi qadam nahin hain jahan
us jagah se guzar raha hun main
puchh lo mujh se aasman ke raaz
kuchh dinon tak udhar raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.