masruf-e-gham hain kaun-o-makan jagte raho
masrūf-e-ġham haiñ kaun-o-makāñ jāgte raho
ḳhvāboñ se uTh rahā hai dhuāñ jāgte raho
haiñ shaam ke nasīb meñ taare na āsmāñ
ruk sā gayā hai qalb-e-jahāñ jāgte raho
dil meñ ḳhayāl hai na nazar meñ savāl hai
baaqī nahīñ hai koī nishāñ jāgte raho
chāñd aur sitāre maañd haiñ sūraj bhī zard zard
phīkī paḌī hai kāhkashāñ jāgte raho
puujā ke phuul suukh ga.e intizār meñ
soyā huā hai shahr-e-butāñ jāgte raho
masruf-e-gham hain kaun-o-makan jagte raho
KHwabon se uTh raha hai dhuan jagte raho
hain sham ke nasib mein tare na aasman
ruk sa gaya hai qalb-e-jahan jagte raho
dil mein KHayal hai na nazar mein sawal hai
baqi nahin hai koi nishan jagte raho
chand aur sitare mand hain suraj bhi zard zard
phiki paDi hai kahkashan jagte raho
puja ke phul sukh gae intizar mein
soya hua hai shahr-e-butan jagte raho
- Book : Azkar (Pg. 138)
- Author : Amjad Hussain Hafiz Karnataki
- Publication : Karnataka Urdu Academy (issue:23 April,May,June-2013)
- Edition : issue:23 April,May,June-2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.