ye dil bahut udas hai thoDa sa jhuT bol
ye dil bahut udaas hai thoḌā sā jhuuT bol
bhārī paḌegā sach abhī halkā sā jhuuT bol
apnī taraf se gaḌ.h koī achchhī sī dāstāñ
sach apne paas rakh koī achchhā sā jhuuT bol
zebā hai terī chashm-e-siyah ko safed jhuuT
jhūTe kahīñ ke hasb-e-tamannā sā jhuuT bol
shīrīñ suḳhan hai shīrīñ bayānī kā rakh bharam
ye bhī nahīñ kahā thā ki kaḌvā sā jhuuT bol
tanhā.iyoñ kī shaam hai dil Dūbne ko hai
is jāñ-ba-lab marīz se thoḌā sā jhuuT bol
nashsha na toḌ merā gumāñ ke nashe meñ huuñ
tū mujh pe mar-miTā hai bas itnā sā jhuuT bol
ye dil bahut udas hai thoDa sa jhuT bol
bhaari paDega sach abhi halka sa jhuT bol
apni taraf se gaDh koi achchhi si dastan
sach apne pas rakh koi achchha sa jhuT bol
zeba hai teri chashm-e-siyah ko safed jhuT
jhuTe kahin ke hasb-e-tamanna sa jhuT bol
shirin suKHan hai shirin bayani ka rakh bharam
ye bhi nahin kaha tha ki kaDwa sa jhuT bol
tanhaiyon ki sham hai dil Dubne ko hai
is jaan-ba-lab mariz se thoDa sa jhuT bol
nashsha na toD mera guman ke nashe mein hun
tu mujh pe mar-miTa hai bas itna sa jhuT bol
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.