shikwa nasib ka na kare bar bar tu
shikva nasīb kā na kare baar baar tū
mushkil hayāt hañs ke hamesha guzār tū
kyuuñ fikr hāl-o-māzī kī kartā hai roz-o-shab
sab us ko iḳhtiyār hai be-iḳhtiyār tū
māyūs kyuuñ jafāoñ se hotā hai be-vajah
sab ke gale meñ Daal vafāoñ ke haar tū
ḳhuddār ban ḳhudī kī talab le ke jī sadā
be-fikr us pe jaan bhī kar de nisār tū
vo sar-parast hai to 'sabā' tujh ko naaz hai
apnā maqām jaan le ḳhud ko sañvār tū
shikwa nasib ka na kare bar bar tu
mushkil hayat hans ke hamesha guzar tu
kyun fikr haal-o-mazi ki karta hai roz-o-shab
sab us ko iKHtiyar hai be-iKHtiyar tu
mayus kyun jafaon se hota hai be-wajah
sab ke gale mein Dal wafaon ke haar tu
KHuddar ban KHudi ki talab le ke ji sada
be-fikr us pe jaan bhi kar de nisar tu
wo sar-parast hai to 'saba' tujh ko naz hai
apna maqam jaan le KHud ko sanwar tu
- Book : Ehsaas (Pg. 117)
- Author : Bubbles Hora Saba
- Publication : Bubbles Hora Saba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.