kaTh-putli hai ya jiwan hai jite jao socho mat
kaTh-putlī hai yā jīvan hai jiite jaao socho mat
soch se hī saarī uljhan hai jiite jaao socho mat
likhā huā kirdār kahānī meñ hī chaltā phirtā hai
kabhī hai duurī kabhī milan hai jiite jaao socho mat
naach sako to nācho jab thak jaao to ārām karo
TeḌhā kyuuñ ghar kā āñgan hai jiite jaao socho mat
har maz.hab kā ek hī kahnā jaisā mālik rakkhe rahnā
jab tak sāñsoñ kā bandhan hai jiite jaao socho mat
ghuum rahe haiñ bāzāroñ meñ sarmāyoñ ke ātish-dān
kis bhaTTī meñ kaun īñdhan hai jiite jaao socho mat
kaTh-putli hai ya jiwan hai jite jao socho mat
soch se hi sari uljhan hai jite jao socho mat
likha hua kirdar kahani mein hi chalta phirta hai
kabhi hai duri kabhi milan hai jite jao socho mat
nach sako to nacho jab thak jao to aaram karo
TeDha kyun ghar ka aangan hai jite jao socho mat
har mazhab ka ek hi kahna jaisa malik rakkhe rahna
jab tak sanson ka bandhan hai jite jao socho mat
ghum rahe hain bazaron mein sarmayon ke aatish-dan
kis bhaTTi mein kaun indhan hai jite jao socho mat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.