jo zaruri hai kar kar pahle
jo zarūrī hai kaar kar pahle
shukr-e-parvardigār kar pahle
ġham kā har dam bayāñ nahīñ achchhā
apnī ḳhushiyāñ shumār kar pahle
ishq ik aag kā samundar hai
ye samundar tū paar kar pahle
mat uThā uñgliyāñ raqīboñ par
aib apne shumār kar pahle
raushnī kī agar tamannā hai
zulmat-e-shab pe vaar kar pahle
maat bhī is meñ jiit jaisī hai
ishq meñ dekh, haar kar pahle
sar-bulandī hai ḳhāksārī meñ
inkisār iḳhtiyār kar pahle
dene vaalā baḌā.ī bhī degā
us ke bandoñ se pyaar kar pahle
jo zaruri hai kar kar pahle
shukr-e-parwardigar kar pahle
gham ka har dam bayan nahin achchha
apni KHushiyan shumar kar pahle
ishq ek aag ka samundar hai
ye samundar tu par kar pahle
mat uTha ungliyan raqibon par
aib apne shumar kar pahle
raushni ki agar tamanna hai
zulmat-e-shab pe war kar pahle
mat bhi is mein jit jaisi hai
ishq mein dekh, haar kar pahle
sar-bulandi hai KHaksari mein
inkisar iKHtiyar kar pahle
dene wala baDai bhi dega
us ke bandon se pyar kar pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.