be-niyazana har ek rah se guzra bhi karo
be-niyāzāna har ik raah se guzrā bhī karo
shauq-e-nazzāra jo Thahrā.e to Thahrā bhī karo
itne shāista-e-ādāb-e-mohabbat na bano
shikva aatā hai agar dil meñ to shikva bhī karo
sīna-e-ishq tamannāoñ kā madfan to nahīñ
shauq-e-dīdār agar hai taqāzā bhī karo
vo nazar aaj bhī kam-ma.anī o begāna nahīñ
us ko samjhā bhī karo us pe bharosā bhī karo
be-niyazana har ek rah se guzra bhi karo
shauq-e-nazzara jo Thahrae to Thahra bhi karo
itne shaista-e-adab-e-mohabbat na bano
shikwa aata hai agar dil mein to shikwa bhi karo
sina-e-ishq tamannaon ka madfan to nahin
shauq-e-didar agar hai taqaza bhi karo
wo nazar aaj bhi kam-mani o begana nahin
us ko samjha bhi karo us pe bharosa bhi karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.