ba-nam-e-taqat koi ishaara nahin chalega
ba-nām-e-tāqat koī ishāra nahīñ chalegā
udaas nasloñ pe ab ijāra nahīñ chalegā
ham apnī dhartī se apnī har samt ḳhud talāsheñ
hamārī ḳhātir koī sitāra nahīñ chalegā
hayāt ab shām-e-ġham kī tashbīh ḳhud banegī
tumhārī zulfoñ kā isti.āra nahīñ chalegā
chalo saroñ kā ḳhirāj nok-e-sināñ ko baḳhsheñ
ki jaañ bachāne kā istiḳhāra nahīñ chalegā
hamāre jazbe baġhāvatoñ ko tarāshte haiñ
hamāre jazboñ pe bas tumhārā nahīñ chalegā
azal se qaa.em haiñ donoñ apnī zidoñ pe 'mohsin'
chalegā paanī magar kināra nahīñ chalegā
ba-nam-e-taqat koi ishaara nahin chalega
udas naslon pe ab ijara nahin chalega
hum apni dharti se apni har samt KHud talashen
hamari KHatir koi sitara nahin chalega
hayat ab sham-e-gham ki tashbih KHud banegi
tumhaari zulfon ka istiara nahin chalega
chalo saron ka KHiraj nok-e-sinan ko baKHshen
ki jaan bachane ka istiKHara nahin chalega
hamare jazbe baghawaton ko tarashte hain
hamare jazbon pe bas tumhaara nahin chalega
azal se qaem hain donon apni zidon pe 'mohsin'
chalega pani magar kinara nahin chalega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.