masarraton ko ye ahl-e-hawas na kho dete
masarratoñ ko ye ahl-e-havas na kho dete
jo har ḳhushī meñ tire ġham ko bhī samo dete
kahāñ vo shab ki tire gesuoñ ke saa.e meñ
ḳhayāl-e-sub.h se ham āstīñ bhigo dete
bahāne aur bhī hote jo zindagī ke liye
ham ek baar tirī aarzū bhī kho dete
bachā liyā mujhe tūfāñ kī mauj ne varna
kināre vaale safīna mirā Dubo dete
jo dekhte mirī nazroñ pe bandishoñ ke sitam
to ye nazāre mirī bebasī pe ro dete
kabhī to yuuñ bhī umañDte sarishk-e-ġham 'majrūh'
ki mere zaḳhm-e-tamannā ke daaġh dho dete
masarraton ko ye ahl-e-hawas na kho dete
jo har KHushi mein tere gham ko bhi samo dete
kahan wo shab ki tere gesuon ke sae mein
KHayal-e-subh se hum aastin bhigo dete
bahane aur bhi hote jo zindagi ke liye
hum ek bar teri aarzu bhi kho dete
bacha liya mujhe tufan ki mauj ne warna
kinare wale safina mera Dubo dete
jo dekhte meri nazron pe bandishon ke sitam
to ye nazare meri bebasi pe ro dete
kabhi to yun bhi umanDte sarishk-e-gham 'majruh'
ki mere zaKHm-e-tamanna ke dagh dho dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.