marham-e-waqt na ejaz-e-masihai hai
marham-e-vaqt na ejāz-e-masīhā.ī hai
zindagī roz na.e zaḳhm kī gahrā.ī hai
phir mire ghar kī fazāoñ meñ huā sannāTā
phir dar-o-bām se andesha-e-goyā.ī hai
tujh se bichhḌūñ to koī phuul na mahke mujh meñ
dekh kyā karb hai kyā zaat kī sachchā.ī hai
terā manshā tire lahje kī dhanak meñ dekhā
tirī āvāz bhī shāyad tirī añgḌā.ī hai
kuchh ajab gardish-e-parkār safar rakhtā huuñ
do-qadam mujh se bhī aage mirī rusvā.ī hai
kuchh to ye hai ki mirī raah judā hai tujh se
aur kuchh qarz bhī mujh par tirī tanhā.ī hai
kis liye mujh se gurezāñ hai mire sāmne tū
kyā tirī raah meñ haa.il mirī bīnā.ī hai
vo sitāre jo chamakte haiñ tire āñgan meñ
un sitāroñ se to apnī bhī shanāsā.ī hai
jis ko ik umr ġhazal se kiyā mansūb 'nasīr'
us ko parkhā to khulā qāfiya-paimā.ī hai
marham-e-waqt na ejaz-e-masihai hai
zindagi roz nae zaKHm ki gahrai hai
phir mere ghar ki fazaon mein hua sannaTa
phir dar-o-baam se andesha-e-goyai hai
tujh se bichhDun to koi phul na mahke mujh mein
dekh kya karb hai kya zat ki sachchai hai
tera mansha tere lahje ki dhanak mein dekha
teri aawaz bhi shayad teri angDai hai
kuchh ajab gardish-e-parkar safar rakhta hun
do-qadam mujh se bhi aage meri ruswai hai
kuchh to ye hai ki meri rah juda hai tujh se
aur kuchh qarz bhi mujh par teri tanhai hai
kis liye mujh se gurezan hai mere samne tu
kya teri rah mein hail meri binai hai
wo sitare jo chamakte hain tere aangan mein
un sitaron se to apni bhi shanasai hai
jis ko ek umr ghazal se kiya mansub 'nasir'
us ko parkha to khula qafiya-paimai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.