marhala raat ka jab aaega
marhala raat kā jab aa.egā
jism saa.e ko taras jā.egā
chal paḌī rasm jo kaj-fahmī kī
baat kyā phir koī kar pā.egā
sach se katrā.e agar log yahāñ
lafz mafhūm se katrā.egā
e'tibār us kā hamesha karnā
vo to jhūTī bhī qasam khā.egā
tū na hogī to phir ai shām-e-firāq
kaun aa kar hameñ bahalā.egā
ham use yaad bahut ā.eñge
jab use bhī koī Thukrā.egā
kā.enāt us kī mirī zaat meñ hai
mujh ko kho kar vo kise pā.egā
na rahe jab vo bhale din bhī 'qatīl'
ye zamāna bhī guzar jā.egā
marhala raat ka jab aaega
jism sae ko taras jaega
chal paDi rasm jo kaj-fahmi ki
baat kya phir koi kar paega
sach se katrae agar log yahan
lafz mafhum se katraega
e'tibar us ka hamesha karna
wo to jhuTi bhi qasam khaega
tu na hogi to phir ai sham-e-firaq
kaun aa kar hamein bahalaega
hum use yaad bahut aaenge
jab use bhi koi Thukraega
kaenat us ki meri zat mein hai
mujh ko kho kar wo kise paega
na rahe jab wo bhale din bhi 'qatil'
ye zamana bhi guzar jaega
- Book : kalam-e-qateel shifai (Pg. 123)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.