marhala dil ka na tasKHir hua
marhala dil kā na tasḳhīr huā
tū kahāñ aa ke ināñ-gīr huā
kaam duniyā kā hai tīr-andāzī
ham hue yā koī naḳhchīr huā
sañg-e-buniyādī haiñ ham us ghar kā
jo kisī tarah na ta.amīr huā
safar-e-shauq kā hāsil ma.alūm
rāsta paañv kī zanjīr huā
umr-bhar jis kī shikāyat kī hai
dil usī aag se iksīr huā
kis se pūchheñ ki vo andāz-e-nazar
kab tabassum huā kab tiir huā
kaun ab dād-e-suḳhan de 'bāqī'
jis ne do sher kahe 'mīr' huā
marhala dil ka na tasKHir hua
tu kahan aa ke inan-gir hua
kaam duniya ka hai tir-andazi
hum hue ya koi naKHchir hua
sang-e-buniyaadi hain hum us ghar ka
jo kisi tarah na tamir hua
safar-e-shauq ka hasil malum
rasta panw ki zanjir hua
umr-bhar jis ki shikayat ki hai
dil usi aag se iksir hua
kis se puchhen ki wo andaz-e-nazar
kab tabassum hua kab tir hua
kaun ab dad-e-suKHan de 'baqi'
jis ne do sher kahe 'mir' hua
- Book : Bar-e-Safar (Pg. 30)
- Author : Baqi Siddiqui
- Publication : Maktaba Urdu Daijest, Lahore (1969)
- Edition : 1969
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.