malbus jab hawa ne badan se chura liye
malbūs jab havā ne badan se churā liye
doshīzgān-e-sub.h ne chehre chhupā liye
ham ne to apne jism pe zaḳhmoñ ke aa.ine
har hādse kī yaad samajh ke sajā liye
mīzān-e-adl terā jhukāo hai jis taraf
us samt se diloñ ne baḌe zaḳhm khā liye
dīvār kyā girī mire ḳhasta makān kī
logoñ ne mere sahn meñ raste banā liye
logoñ kī chādaroñ pe banātī rahī vo phuul
paivand us ne apnī qabā meñ sajā liye
har marhale ke dosh pe tarkash ko dekh kar
maaoñ ne apnī god meñ bachche chhupā liye
malbus jab hawa ne badan se chura liye
doshizgan-e-subh ne chehre chhupa liye
hum ne to apne jism pe zaKHmon ke aaine
har hadse ki yaad samajh ke saja liye
mizan-e-adl tera jhukao hai jis taraf
us samt se dilon ne baDe zaKHm kha liye
diwar kya giri mere KHasta makan ki
logon ne mere sahn mein raste bana liye
logon ki chadaron pe banati rahi wo phul
paiwand us ne apni qaba mein saja liye
har marhale ke dosh pe tarkash ko dekh kar
maon ne apni god mein bachche chhupa liye
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 228)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.