meri zindagi bhi meri nahin ye hazar KHanon mein baT gai
mirī zindagī bhī mirī nahīñ ye hazār ḳhānoñ meñ baT ga.ī
mujhe ek muTThī zamīn de ye zamīn kitnī simaT ga.ī
tirī yaad aa.e to chup rahūñ zarā chup rahūñ to ġhazal kahūñ
ye ‘ajīb aag kī bel thī mire tan-badan se lipaT ga.ī
mujhe likhne vaalā likhe bhī kyā mujhe paḌhne vaalā paḌhe bhī kyā
jahāñ merā naam likhā gayā vahīñ raushnā.ī ulaT ga.ī
na koī ḳhushī na malāl hai ki sabhī kā ek sā haal hai
tire sukh ke din bhī guzar ga.e mirī ġham kī raat bhī kaT ga.ī
mirī band palkoñ pe TuuT kar koī phuul raat bikhar gayā
mujhe siskiyoñ ne jagā diyā mirī kachchī niiñd uchaT ga.ī
meri zindagi bhi meri nahin ye hazar KHanon mein baT gai
mujhe ek muTThi zamin de ye zamin kitni simaT gai
teri yaad aae to chup rahun zara chup rahun to ghazal kahun
ye ‘ajib aag ki bel thi mere tan-badan se lipaT gai
mujhe likhne wala likhe bhi kya mujhe paDhne wala paDhe bhi kya
jahan mera nam likha gaya wahin raushnai ulaT gai
na koi KHushi na malal hai ki sabhi ka ek sa haal hai
tere sukh ke din bhi guzar gae meri gham ki raat bhi kaT gai
meri band palkon pe TuT kar koi phul raat bikhar gaya
mujhe siskiyon ne jaga diya meri kachchi nind uchaT gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.