main zaKHm kha ke gira tha ki tham usne liya
maiñ zaḳhm khā ke girā thā ki thaam us ne liyā
muaaf kar ke mujhe intiqām us ne liyā
maiñ so gayā to koī niiñd se uThā mujh meñ
phir apne haath meñ sab intizām us ne liyā
kabhī bhulāyā kabhī yaad kar liyā us ko
ye kaam hai to bahut mujh se kaam us ne liyā
na jaane kis ko pukārā gale lagā ke mujhe
magar vo merā nahīñ thā jo naam us ne liyā
bahār aa.ī to phūloñ se un kī ḳhushbū lī
havā chalī to havā se ḳhirām us ne liyā
fanā ne kuchh nahīñ māñgā savāl karte hue
isī adā pe ḳhudā se davām us ne liyā
main zaKHm kha ke gira tha ki tham us ne liya
muaf kar ke mujhe intiqam us ne liya
main so gaya to koi nind se uTha mujh mein
phir apne hath mein sab intizam us ne liya
kabhi bhulaya kabhi yaad kar liya us ko
ye kaam hai to bahut mujh se kaam us ne liya
na jaane kis ko pukara gale laga ke mujhe
magar wo mera nahin tha jo nam us ne liya
bahaar aai to phulon se un ki KHushbu li
hawa chali to hawa se KHiram us ne liya
fana ne kuchh nahin manga sawal karte hue
isi ada pe KHuda se dawam us ne liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.