main taraddud se kabhi Khaali nahin
maiñ taraddud se kabhī ḳhālī nahīñ
āshiqī meñ fāriġh-ul-bālī nahīñ
kah rahī hai ye tirī tasvīr bhī
maiñ kisī se bolne vaalī nahīñ
loTtā hai dil taḌaptā hai jigar
koī apne kaam se ḳhālī nahīñ
'nūh' ko tūfān-e-ġham se ḳhauf kyā
us kī kashtī Dūbne vaalī nahīñ
main taraddud se kabhi KHali nahin
aashiqi mein farigh-ul-baali nahin
kah rahi hai ye teri taswir bhi
main kisi se bolne wali nahin
loTta hai dil taDapta hai jigar
koi apne kaam se KHali nahin
'nuh' ko tufan-e-gham se KHauf kya
us ki kashti Dubne wali nahin
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 143)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.