main sirf wo nahin jo nazar aa gaya tujhe
maiñ sirf vo nahīñ jo nazar aa gayā tujhe
muzhda phir izn-e-bār-e-digar aa gayā tujhe
sahrā meñ jaan dene ke mauqe to ab bhī haiñ
vo kyā junūñ thā le ke jo ghar aa gayā tujhe
pahle kabhī to maut ko tujh se gila na thā
jiine kā aaj kaise hunar aa gayā tujhe
is daur meñ ye faḳhr bhī kis ko nasīb hai
chehra to aa.ine meñ nazar aa gayā tujhe
is shahr meñ to kuchh nahīñ rusvā.ī ke sivā
ai 'dil' ye 'ishq le ke kidhar aa gayā tujhe
main sirf wo nahin jo nazar aa gaya tujhe
muzhda phir izn-e-bar-e-digar aa gaya tujhe
sahra mein jaan dene ke mauqe to ab bhi hain
wo kya junun tha le ke jo ghar aa gaya tujhe
pahle kabhi to maut ko tujh se gila na tha
jine ka aaj kaise hunar aa gaya tujhe
is daur mein ye faKHr bhi kis ko nasib hai
chehra to aaine mein nazar aa gaya tujhe
is shahr mein to kuchh nahin ruswai ke siwa
ai 'dil' ye 'ishq le ke kidhar aa gaya tujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.