mahshar mein bhi kisi ke uThaenge naz hum
mahshar meñ bhī kisī ke uThā.eñge naaz ham
aise niyāz-mand haiñ ai be-niyāz ham
hogī faqat sharīk-e-duā ek bekasī
mayyat par apnī aap paḌheñge namāz ham
vaa.iz yahī na kah de ki paidā hī kyoñ hue
duniyā meñ aa.eñ aur raheñ pāk-bāz ham
is meñ bhī koī bhed hai tum jānte nahīñ
kahte haiñ ek ek se kyoñ dil ke raaz ham
jab sunte haiñ ki aap pe do chaar mar ga.e
dilvāte haiñ raqīboñ kī apne niyāz ham
vo din ga.e ki 'dāġh' thī har dam butoñ kī yaad
paḌhte haiñ pāñch vaqt kī ab to namāz ham
mahshar mein bhi kisi ke uThaenge naz hum
aise niyaz-mand hain ai be-niyaz hum
hogi faqat sharik-e-dua ek bekasi
mayyat par apni aap paDhenge namaz hum
waiz yahi na kah de ki paida hi kyon hue
duniya mein aaen aur rahen pak-baz hum
is mein bhi koi bhed hai tum jaante nahin
kahte hain ek ek se kyon dil ke raaz hum
jab sunte hain ki aap pe do chaar mar gae
dilwate hain raqibon ki apne niyaz hum
wo din gae ki 'dagh' thi har dam buton ki yaad
paDhte hain panch waqt ki ab to namaz hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.