lutf mein wan Dhang hai bedad ka
lutf meñ vaañ Dhañg hai bedād kā
kaam de ai ḳhāmushī fariyād kā
kyuuñ ki le tasvīr us kī dekhiye
haath qaabū meñ nahīñ bahzād kā
umr-bhar rakhtā hai pāband-e-kamīñ
said ḳhud ik daam hai sayyād kā
da.avā-e-bātil kī pursish rah ga.ī
kaun pursāñ hasrat-e-shaddād kā
duur tak apnī nigāheñ haiñ rasā
parda haa.il gar na ho ījād kā
kaun yaañ qaid-e-ta.alluq meñ nahīñ
pā-ba-gul hai sarv se āzād kā
dil meñ jab aa.e ki us ne sun liyā
nā-rasā kyuuñ naam hai fariyād kā
aap hī gardish se hai majbūr-e-charḳh
chāhnā aise se kyā imdād kā
dekhiye kasrat se vahdat ko to hai
ek jalva mūjid-o-ījād kā
kohkan ne umr-bhar kaaTā pahāḌ
maiñ huuñ juuyā charḳh kī buniyād kā
bach gayā tīr-e-nigāh-e-yār se
vāqa.ī ā.īna hai faulād kā
bhūlā hai dīn-o-duniyā aadmī
ḳhāssa hai ye butoñ kī yaad kā
pahle nafġh-e-sūr se aa jā.ūñ yaañ
shak na ho tum ko mirī fariyād kā
zarbat-e-tesha thī patthar kī lakīr
naam miTtā hī nahīñ farhād kā
ḳhud uḌā jaatā huuñ 'sālik' zo.af se
aah meñ tūfāñ hai qaum-e-ād kā
lutf mein wan Dhang hai bedad ka
kaam de ai KHamushi fariyaad ka
kyun ki le taswir us ki dekhiye
hath qabu mein nahin bahzad ka
umr-bhar rakhta hai paband-e-kamin
said KHud ek dam hai sayyaad ka
dawa-e-baatil ki pursish rah gai
kaun pursan hasrat-e-shaddad ka
dur tak apni nigahen hain rasa
parda hail gar na ho ijad ka
kaun yan qaid-e-talluq mein nahin
pa-ba-gul hai sarw se aazad ka
dil mein jab aae ki us ne sun liya
na-rasa kyun nam hai fariyaad ka
aap hi gardish se hai majbur-e-charKH
chahna aise se kya imdad ka
dekhiye kasrat se wahdat ko to hai
ek jalwa mujid-o-ijad ka
kohkan ne umr-bhar kaTa pahaD
main hun juya charKH ki buniyaad ka
bach gaya tir-e-nigah-e-yar se
waqai aaina hai faulad ka
bhula hai din-o-duniya aadmi
KHassa hai ye buton ki yaad ka
pahle nafgh-e-sur se aa jaun yan
shak na ho tum ko meri fariyaad ka
zarbat-e-tesha thi patthar ki lakir
nam miTta hi nahin farhad ka
KHud uDa jata hun 'salik' zoaf se
aah mein tufan hai qaum-e-ad ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.