tumko bhula rahi thi ki tum yaad aa gae
tum ko bhulā rahī thī ki tum yaad aa ga.e
maiñ zahr khā rahī thī ki tum yaad aa ga.e
kal merī ek pyārī sahelī kitāb meñ
ik ḳhat chhupā rahī thī ki tum yaad aa ga.e
us vaqt rāt-rānī mire suune sahn meñ
ḳhushbū luTā rahī thī ki tum yaad aa ga.e
īmān jāniye ki ise kufr jāniye
maiñ sar jhukā rahī thī ki tum yaad aa ga.e
kal shaam chhat pe mīr-taqī-'mīr' kī ġhazal
maiñ gungunā rahī thī ki tum yaad aa ga.e
'anjum' tumhārā shahr jidhar hai usī taraf
ik rail jā rahī thī ki tum yaad aa ga.e
tum ko bhula rahi thi ki tum yaad aa gae
main zahr kha rahi thi ki tum yaad aa gae
kal meri ek pyari saheli kitab mein
ek KHat chhupa rahi thi ki tum yaad aa gae
us waqt raat-rani mere sune sahn mein
KHushbu luTa rahi thi ki tum yaad aa gae
iman jaaniye ki ise kufr jaaniye
main sar jhuka rahi thi ki tum yaad aa gae
kal sham chhat pe mir-taqi-'mir' ki ghazal
main gunguna rahi thi ki tum yaad aa gae
'anjum' tumhaara shahr jidhar hai usi taraf
ek rail ja rahi thi ki tum yaad aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.