milna tha ittifaq bichhaDna nasib tha
milnā thā ittifāq bichhaḌnā nasīb thā
vo utnī duur ho gayā jitnā qarīb thā
maiñ us ko dekhne ko tarastī hī rah ga.ī
jis shaḳhs kī hathelī pe merā nasīb thā
bastī ke saare log hī ātish-parast the
ghar jal rahā thā aur samundar qarīb thā
mariyam kahāñ talāsh kare apne ḳhuun ko
har shaḳhs ke gale meñ nishān-e-salīb thā
dafnā diyā gayā mujhe chāñdī kī qabr meñ
maiñ jis ko chāhtī thī vo laḌkā ġharīb thā
milna tha ittifaq bichhaDna nasib tha
wo utni dur ho gaya jitna qarib tha
main us ko dekhne ko tarasti hi rah gai
jis shaKHs ki hatheli pe mera nasib tha
basti ke sare log hi aatish-parast the
ghar jal raha tha aur samundar qarib tha
mariyam kahan talash kare apne KHun ko
har shaKHs ke gale mein nishan-e-salib tha
dafna diya gaya mujhe chandi ki qabr mein
main jis ko chahti thi wo laDka gharib tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.