log TuT jate hain ek ghar banane mein
log TuuT jaate haiñ ek ghar banāne meñ
tum taras nahīñ khāte bastiyāñ jalāne meñ
aur jaam TūTeñge is sharāb-ḳhāne meñ
mausamoñ ke aane meñ mausamoñ ke jaane meñ
har dhaḌakte patthar ko log dil samajhte haiñ
umreñ biit jaatī haiñ dil ko dil banāne meñ
fāḳhta kī majbūrī ye bhī kah nahīñ saktī
kaun saañp rakhtā hai us ke āshiyāne meñ
dūsrī koī laḌkī zindagī meñ aa.egī
kitnī der lagtī hai us ko bhuul jaane meñ
log TuT jate hain ek ghar banane mein
tum taras nahin khate bastiyan jalane mein
aur jam TuTenge is sharab-KHane mein
mausamon ke aane mein mausamon ke jaane mein
har dhaDakte patthar ko log dil samajhte hain
umren bit jati hain dil ko dil banane mein
faKHta ki majburi ye bhi kah nahin sakti
kaun sanp rakhta hai us ke aashiyane mein
dusri koi laDki zindagi mein aaegi
kitni der lagti hai us ko bhul jaane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.