log kahte hain ki is khel mein sar jate hain
log kahte haiñ ki is khel meñ sar jaate haiñ
ishq meñ itnā ḳhasāra hai to ghar jaate haiñ
maut ko ham ne kabhī kuchh nahīñ samjhā magar aaj
apne bachchoñ kī taraf dekh ke Dar jaate haiñ
zindagī aise bhī hālāt banā detī hai
log sāñsoñ kā kafan oḌh ke mar jaate haiñ
paañv meñ ab koī zanjīr nahīñ Dālte ham
dil jidhar Thiik samajhtā hai udhar jaate haiñ
kyā junūñ-ḳhez masāfat thī tire kūche kī
aur ab yuuñ hai ki ḳhāmosh guzar jaate haiñ
ye mohabbat kī alāmat to nahīñ hai koī
terā chehra nazar aatā hai jidhar jaate haiñ
log kahte hain ki is khel mein sar jate hain
ishq mein itna KHasara hai to ghar jate hain
maut ko hum ne kabhi kuchh nahin samjha magar aaj
apne bachchon ki taraf dekh ke Dar jate hain
zindagi aise bhi haalat bana deti hai
log sanson ka kafan oDh ke mar jate hain
panw mein ab koi zanjir nahin Dalte hum
dil jidhar Thik samajhta hai udhar jate hain
kya junun-KHez masafat thi tere kuche ki
aur ab yun hai ki KHamosh guzar jate hain
ye mohabbat ki alamat to nahin hai koi
tera chehra nazar aata hai jidhar jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.