lamha lamha bar hai tere baghair
lamha lamha baar hai tere baġhair
zindagī dushvār hai tere baġhair
dil kī be-tābī kā aalam kyā kahūñ
har nafas talvār hai tere baġhair
majma-e-ahbāb o arbāb-e-vafā
majma-e-aġhyār hai tere baġhair
tujh se barham huuñ kabhī ḳhud se ḳhafā
kuchh ajab raftār hai tere baġhair
zindagī se maut ik ik gaam par
bar-sar-e-paikār hai tere baġhair
ālam-e-furqat meñ zikr-e-ḳhvāb kyā
niiñd ḳhud bedār hai tere baġhair
shām-e-ġham karvaT badaltā hī nahīñ
vaqt bhī ḳhuddār hai tere baġhair
aa masīhā aa ki ab terā 'shakīl'
jaan se be-zār hai tere baġhair
lamha lamha bar hai tere baghair
zindagi dushwar hai tere baghair
dil ki be-tabi ka aalam kya kahun
har nafas talwar hai tere baghair
majma-e-ahbab o arbab-e-wafa
majma-e-aghyar hai tere baghair
tujh se barham hun kabhi KHud se KHafa
kuchh ajab raftar hai tere baghair
zindagi se maut ek ek gam par
bar-sar-e-paikar hai tere baghair
aalam-e-furqat mein zikr-e-KHwab kya
nind KHud bedar hai tere baghair
sham-e-gham karwaT badalta hi nahin
waqt bhi KHuddar hai tere baghair
aa masiha aa ki ab tera 'shakil'
jaan se be-zar hai tere baghair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.