lafz-o-manzar mein maani ko TaTola na karo
lafz-o-manzar meñ ma.ānī ko TaTolā na karo
hosh vaale ho to har baat ko samjhā na karo
vo nahīñ hai na sahī tark-e-tamannā na karo
dil akelā hai ise aur akelā na karo
band āñkhoñ meñ haiñ nādīda zamāne paidā
khulī āñkhoñ hī se har chiiz ko dekhā na karo
din to hañgāma-e-hastī meñ guzar jā.egā
sub.h tak shaam ko afsāna-dar-afsāna karo
lafz-o-manzar mein maani ko TaTola na karo
hosh wale ho to har baat ko samjha na karo
wo nahin hai na sahi tark-e-tamanna na karo
dil akela hai ise aur akela na karo
band aankhon mein hain nadida zamane paida
khuli aankhon hi se har chiz ko dekha na karo
din to hangama-e-hasti mein guzar jaega
subh tak sham ko afsana-dar-afsana karo
- Book : naqsh-e-bar aab (Pg. 84)
- Author : mahmood ayaaz
- Publication : Modern Publishing House, Darya Ganj new delhi (2001)
- Edition : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.