lab o ruKHsar ki qismat se duri
lab o ruḳhsār kī qismat se duurī
rahegī zindagī kab tak adhūrī
bahut taḌpā rahe haiñ do diloñ ko
ka.ī nāzuk taqāze lā-shu'ūrī
ka.ī rātoñ se hai āġhosh suunā
ka.ī rātoñ kī nīñdeñ haiñ adhūrī
ḳhudā samjhe junūn-e-justujū ko
sar-e-manzil bhī hai manzil se duurī
'ajab andāz ke shām-o-sahar haiñ
koī tasvīr ho jaise adhūrī
ḳhudā ko bhuul hī jaa.e zamāna
har ik jo aarzū ho jaa.e puurī
lab o ruKHsar ki qismat se duri
rahegi zindagi kab tak adhuri
bahut taDpa rahe hain do dilon ko
kai nazuk taqaze la-shu'uri
kai raaton se hai aaghosh suna
kai raaton ki ninden hain adhuri
KHuda samjhe junun-e-justuju ko
sar-e-manzil bhi hai manzil se duri
'ajab andaz ke sham-o-sahar hain
koi taswir ho jaise adhuri
KHuda ko bhul hi jae zamana
har ek jo aarzu ho jae puri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.