lab-e-sukūt pe ik harf-e-be-navā bhī nahīñ
vo raat hai ki kisī ko sar-e-duā bhī nahīñ
ḳhamosh rahiye to kyā kyā sadā.eñ aatī haiñ
pukāriye to koī muḌ ke dekhtā bhī nahīñ
jo dekhiye to jilau meñ haiñ mehr-o-māh-o-nujūm
jo sochiye to safar kī ye ibtidā bhī nahīñ
qadam hazār jihat-āshnā sahī lekin
guzar gayā huuñ jidhar se vo rāsta bhī nahīñ
kisī ke tum ho kisī kā ḳhudā hai duniyā meñ
mire nasīb meñ tum bhī nahīñ ḳhudā bhī nahīñ
ye kaisā ḳhvāb hai pichhle pahar ke sannāTo
bikhar gayā hai aur āñkhoñ se chhūTtā bhī nahīñ
is izhdihām meñ kyā naam kyā nishāñ 'aḳhtar'
milā vo hañs ke magar mujh se āshnā bhī nahīñ
lab-e-sukut pe ek harf-e-be-nawa bhi nahin
wo raat hai ki kisi ko sar-e-dua bhi nahin
KHamosh rahiye to kya kya sadaen aati hain
pukariye to koi muD ke dekhta bhi nahin
jo dekhiye to jilau mein hain mehr-o-mah-o-nujum
jo sochiye to safar ki ye ibtida bhi nahin
qadam hazar jihat-ashna sahi lekin
guzar gaya hun jidhar se wo rasta bhi nahin
kisi ke tum ho kisi ka KHuda hai duniya mein
mere nasib mein tum bhi nahin KHuda bhi nahin
ye kaisa KHwab hai pichhle pahar ke sannaTo
bikhar gaya hai aur aankhon se chhuTta bhi nahin
is izhdiham mein kya nam kya nishan 'aKHtar'
mila wo hans ke magar mujh se aashna bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.