kyunkar na KHaksar rahen ahl-e-kin se dur
kyūñkar na ḳhāksār raheñ ahl-e-kīñ se duur
dekho zamīñ falak se falak hai zamīñ se duur
parvāna vasl-e-sham.a pe detā hai apnī jaañ
kyūñkar rahe dil us ke ruḳh-e-ātishīñ se duur
mazmūn-e-vasl-o-hijr jo naame meñ hai raqam
hai harf bhī kahīñ se mile aur kahīñ se duur
go tīr-e-be-gumāñ hai mire paas par abhī
jaa.e nikal ke sīna-e-charḳh-e-barīñ se duur
vo kaun hai ki jaate nahīñ aap jis ke paas
lekin hamesha bhāgte ho tum hamīñ se duur
hairān huuñ ki us ke muqābil ho ā.īna
jo pur-ġhurūr khiñchtā hai māh-e-mubīñ se duur
yaañ tak adū kā paas hai un ko ki bazm meñ
vo baiThte bhī haiñ to mire ham-nashīñ se duur
manzūr ho jo diid tujhe dil kī aañkh se
pahuñche tirī nazar nigah-e-dūr-bīñ se duur
duniyā-e-dūñ kī de na mohabbat ḳhudā 'zafar'
insāñ ko pheñk de hai ye īmān o diiñ se duur
kyunkar na KHaksar rahen ahl-e-kin se dur
dekho zamin falak se falak hai zamin se dur
parwana wasl-e-shama pe deta hai apni jaan
kyunkar rahe dil us ke ruKH-e-atishin se dur
mazmun-e-wasl-o-hijr jo name mein hai raqam
hai harf bhi kahin se mile aur kahin se dur
go tir-e-be-guman hai mere pas par abhi
jae nikal ke sina-e-charKH-e-barin se dur
wo kaun hai ki jate nahin aap jis ke pas
lekin hamesha bhagte ho tum hamin se dur
hairan hun ki us ke muqabil ho aaina
jo pur-ghurur khinchta hai mah-e-mubin se dur
yan tak adu ka pas hai un ko ki bazm mein
wo baiThte bhi hain to mere ham-nashin se dur
manzur ho jo did tujhe dil ki aankh se
pahunche teri nazar nigah-e-dur-bin se dur
duniya-e-dun ki de na mohabbat KHuda 'zafar'
insan ko phenk de hai ye iman o din se dur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.