kyun kisi rah-rau se puchhun apni manzil ka pata
kyuuñ kisī rah-rau se pūchhūñ apnī manzil kā patā
mauj-e-dariyā ḳhud lagā letī hai sāhil kā patā
hai nishān-e-laila-e-maqsūd mahmil kā patā
dilrubā haath aa gayā paayā jahāñ dil kā patā
rāh-e-ulfat meñ samajh lo dil ko gūñgā rahnumā
saath hai aur de nahīñ saktā hai manzil kā patā
kahtā hai nāseh ki vāpas jaao aur maiñ sāda-lauh
pūchhtā huuñ ḳhud usī se kū-e-qātil kā patā
rāhbar rahzan na ban jaa.e kahīñ is soch meñ
chup khaḌā huuñ bhuul kar raste meñ manzil kā patā
aa.ī ik āvāz-e-tīr aur niklī dil se uf
phir na qātil kā nishāñ paayā na bismil kā patā
bāñkī-chitvan vaale mahshar meñ hazāroñ haiñ to hoñ
mil hī jā.egā kisī sūrat se qātil kā patā
us jagah bismil ne dam toḌā jahāñ kī ḳhaak thī
yuuñ lagāte haiñ lagāne vaale manzil kā patā
pūchhne vaale ne ye pūchhā ki kyuuñ be-dil ho kyuuñ
aur mujh ko mil gayā kho.e hue dil kā patā
maujeñ Takrā.ī huiiñ dushman bhī niklīñ dost bhī
pīchhe kashtī ko Dhakelā de ke sāhil kā patā
rah gayā hai TuuT kar zaḳhm-e-jigar meñ tīr-e-nāz
ab lagā lenā nahīñ dushvār qātil kā patā
soḳhta parvāne kushta sham.a farsh-e-dāġhdār
de rahe haiñ raat kī garmī-e-mahfil kā patā
maiñ vafā-kesh 'ārzū' aur vo vafā-nā-āshnā
paḌ gayā mushkil meñ pā kar apnī mushkil kā patā
kyun kisi rah-rau se puchhun apni manzil ka pata
mauj-e-dariya KHud laga leti hai sahil ka pata
hai nishan-e-laila-e-maqsud mahmil ka pata
dilruba hath aa gaya paya jahan dil ka pata
rah-e-ulfat mein samajh lo dil ko gunga rahnuma
sath hai aur de nahin sakta hai manzil ka pata
kahta hai naseh ki wapas jao aur main sada-lauh
puchhta hun KHud usi se ku-e-qatil ka pata
rahbar rahzan na ban jae kahin is soch mein
chup khaDa hun bhul kar raste mein manzil ka pata
aai ek aawaz-e-tir aur nikli dil se uf
phir na qatil ka nishan paya na bismil ka pata
banki-chitwan wale mahshar mein hazaron hain to hon
mil hi jaega kisi surat se qatil ka pata
us jagah bismil ne dam toDa jahan ki KHak thi
yun lagate hain lagane wale manzil ka pata
puchhne wale ne ye puchha ki kyun be-dil ho kyun
aur mujh ko mil gaya khoe hue dil ka pata
maujen Takrai huin dushman bhi niklin dost bhi
pichhe kashti ko Dhakela de ke sahil ka pata
rah gaya hai TuT kar zaKHm-e-jigar mein tir-e-naz
ab laga lena nahin dushwar qatil ka pata
soKHta parwane kushta shama farsh-e-daghdar
de rahe hain raat ki garmi-e-mahfil ka pata
main wafa-kesh 'arzu' aur wo wafa-na-ashna
paD gaya mushkil mein pa kar apni mushkil ka pata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.