kyon kahe koi ki tumne kya kiya
kyoñ kahe koī ki tum ne kyā kiyā
kyoñ nahīñ kahte ki haañ achchhā kiyā
kyoñ na ḳhvāhish ke mutābiq de murād
jis ne be-ḳhvāhish hameñ paidā kiyā
dost aur ye zid ki jo us se kahā
kah ke logoñ meñ mujhe rusvā kiyā
maiñ ne jal kar baat karnī chhoḌ dī
us ne chup rahne kā bhī charchā kiyā
laḌ to aayā us se lekin ham-nashīñ
dil meñ kahtā huuñ ki 'nāzim' kyā kiyā
kyon kahe koi ki tum ne kya kiya
kyon nahin kahte ki han achchha kiya
kyon na KHwahish ke mutabiq de murad
jis ne be-KHwahish hamein paida kiya
dost aur ye zid ki jo us se kaha
kah ke logon mein mujhe ruswa kiya
main ne jal kar baat karni chhoD di
us ne chup rahne ka bhi charcha kiya
laD to aaya us se lekin ham-nashin
dil mein kahta hun ki 'nazim' kya kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.