kya kahen kya husn ka aalam raha
kyā kaheñ kyā husn kā aalam rahā
vo rahe aur aa.ina maddham rahā
zindagī se zindagī rūThī rahī
aadmī se aadmī barham rahā
rah ga.ī haiñ ab vahāñ parchhā.iyāñ
ik zamāne meñ jahāñ aadam rahā
paas rah kar bhī rahe ham duur duur
is tarah us kā mirā sañgam rahā
tū mire afkār meñ har pal rahī
maiñ tire ehsās meñ har dam rahā
jī rahe the ham to duniyā thī ḳhafā
mar ga.e to der tak mātam rahā
kya kahen kya husn ka aalam raha
wo rahe aur aaina maddham raha
zindagi se zindagi ruThi rahi
aadmi se aadmi barham raha
rah gai hain ab wahan parchhaiyan
ek zamane mein jahan aadam raha
pas rah kar bhi rahe hum dur dur
is tarah us ka mera sangam raha
tu mere afkar mein har pal rahi
main tere ehsas mein har dam raha
ji rahe the hum to duniya thi KHafa
mar gae to der tak matam raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.