kuchh yaadgar-e-shahr-e-sitamgar hi le chalen
kuchh yādgār-e-shahr-e-sitamgar hī le chaleñ
aa.e haiñ is galī meñ to patthar hī le chaleñ
yuuñ kis tarah kaTegā kaḌī dhuup kā safar
sar par ḳhayāl-e-yār kī chādar hī le chaleñ
ranj-e-safar kī koī nishānī to paas ho
thoḌī sī ḳhāk-e-kūcha-e-dilbar hī le chaleñ
ye kah ke chheḌtī hai hameñ dil-giraftagī
ghabrā ga.e haiñ aap to bāhar hī le chaleñ
is shahr-e-be-charāġh meñ jā.egī tū kahāñ
aa ai shab-e-firāq tujhe ghar hī le chaleñ
kuchh yaadgar-e-shahr-e-sitamgar hi le chalen
aae hain is gali mein to patthar hi le chalen
yun kis tarah kaTega kaDi dhup ka safar
sar par KHayal-e-yar ki chadar hi le chalen
ranj-e-safar ki koi nishani to pas ho
thoDi si KHak-e-kucha-e-dilbar hi le chalen
ye kah ke chheDti hai hamein dil-giraftagi
ghabra gae hain aap to bahar hi le chalen
is shahr-e-be-charagh mein jaegi tu kahan
aa ai shab-e-firaq tujhe ghar hi le chalen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.