kuchh to taskin-e-iztirab mile
kuchh to taskīn-e-iztirāb mile
vo nahīñ milte to sharāb mile
maiñ samandar meñ bhī rahā pyāsā
aab meñ bhī mujhe sarāb mile
muñh lagī chhūTtī nahīñ vā'iz
ab jo milnā hai so 'azāb mile
chuum luuñ maiñ varaq varaq us kā
tere chehre se jo kitāb mile
zindagī zindagī sī lagtī hai
aap jab se hameñ janāb mile
kaun tā'bīr kī kare chintā
phir se koī hasīn ḳhvāb mile
din 'ibādat meñ ho guzar yārab
vaqt-e-maġhrib magar sharāb mile
yā-ḳhudā dil mile shajar jaisā
ġham jo mujh ko haiñ be-hisāb mile
khul ke ronā bhī kab nasīb huā
phir na ye hastī-e-habāb mile
dil ke nikle ġharīb sab ke sab
ham ko jo sāhab-e-nisāb mile
kuchh to pahle hī dar-ba-dar thā 'sadā'
dost bhī ḳhānumāñ-ḳharāb mile
kuchh to taskin-e-iztirab mile
wo nahin milte to sharab mile
main samandar mein bhi raha pyasa
aab mein bhi mujhe sarab mile
munh lagi chhuTti nahin wa'iz
ab jo milna hai so 'azab mile
chum lun main waraq waraq us ka
tere chehre se jo kitab mile
zindagi zindagi si lagti hai
aap jab se hamein janab mile
kaun ta'bir ki kare chinta
phir se koi hasin KHwab mile
din 'ibaadat mein ho guzar yarab
waqt-e-maghrib magar sharab mile
ya-KHuda dil mile shajar jaisa
gham jo mujh ko hain be-hisab mile
khul ke rona bhi kab nasib hua
phir na ye hasti-e-habab mile
dil ke nikle gharib sab ke sab
hum ko jo sahab-e-nisab mile
kuchh to pahle hi dar-ba-dar tha 'sada'
dost bhi KHanuman-KHarab mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.