kuchh kahne ka waqt nahin ye kuchh na kaho KHamosh raho
kuchh kahne kā vaqt nahīñ ye kuchh na kaho ḳhāmosh raho
ai logo ḳhāmosh raho haañ ai logo ḳhāmosh raho
sach achchhā par us ke jilau meñ zahr kā hai ik pyāla bhī
pāgal ho kyuuñ nāhaq ko suqrāt bano ḳhāmosh raho
un kā ye kahnā sūraj hī dhartī ke phere kartā hai
sar-āñkhoñ par sūraj hī ko ghūmne do ḳhāmosh raho
mahbas meñ kuchh habs hai aur zanjīr kā aahan chubhtā hai
phir socho haañ phir socho haañ phir socho ḳhāmosh raho
garm aañsū aur ThanDī aaheñ man meñ kyā kyā mausam haiñ
is bagiyā ke bhed na kholo sair karo ḳhāmosh raho
āñkheñ muuñd kināre baiTho man ke rakkho band kivāḌ
'inshā'-jī lo dhāgā lo aur lab sī lo ḳhāmosh raho
kuchh kahne ka waqt nahin ye kuchh na kaho KHamosh raho
ai logo KHamosh raho han ai logo KHamosh raho
sach achchha par us ke jilau mein zahr ka hai ek pyala bhi
pagal ho kyun nahaq ko suqraat bano KHamosh raho
un ka ye kahna suraj hi dharti ke phere karta hai
sar-ankhon par suraj hi ko ghumne do KHamosh raho
mahbas mein kuchh habs hai aur zanjir ka aahan chubhta hai
phir socho han phir socho han phir socho KHamosh raho
garm aansu aur ThanDi aahen man mein kya kya mausam hain
is bagiya ke bhed na kholo sair karo KHamosh raho
aankhen mund kinare baiTho man ke rakkho band kiwaD
'insha'-ji lo dhaga lo aur lab si lo KHamosh raho
- Book : Is Basti ke ik Kooche Men (Pg. 160)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.