kuchh is ada se mohabbat-shanas hona hai
kuchh is adā se mohabbat-shanās honā hai
ḳhushī ke baab meñ mujh ko udaas honā hai
maiñ aaj sog manānā sikhāne vaalā huuñ
idhar ko aa.eñ jinheñ mahv-e-yās honā hai
nashist-e-rūh meñ pākīzgī hai shart magar
badan kī bazm meñ bas ḳhush-libās honā hai
maiñ ḳhud hī hotā huuñ apnī nashāt kā baa.is
so mujh ko ḳhud mire ġham kī asaas honā hai
azal se merī hifāzat kā farz hai un par
sabhī dukhoñ ko mere ās-pās honā hai
ye āshiqī tire bas kī nahīñ so rahne de
ki terā kaam to bas nā-sipās honā hai
kuchh is ada se mohabbat-shanas hona hai
KHushi ke bab mein mujh ko udas hona hai
main aaj sog manana sikhane wala hun
idhar ko aaen jinhen mahw-e-yas hona hai
nashist-e-ruh mein pakizgi hai shart magar
badan ki bazm mein bas KHush-libas hona hai
main KHud hi hota hun apni nashat ka bais
so mujh ko KHud mere gham ki asas hona hai
azal se meri hifazat ka farz hai un par
sabhi dukhon ko mere aas-pas hona hai
ye aashiqi tere bas ki nahin so rahne de
ki tera kaam to bas na-sipas hona hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.