kuchh der tak to mujhko nihaara chala gaya
kuchh der tak to mujh ko nihārā chalā gayā
kal sub.h merī aañkh kā taarā chalā gayā
vo ḳhush huā ki us ko ḳhasārā nahīñ huā
maiñ ro rahā thā merā sahārā chalā gayā
vo guftugū ke vāste aaya thā baam par
maiñ chup rahā to uTh ke sitārā chalā gayā
karnā thā intiḳhāb marāsim meñ ishq meñ
maiñ ne sirā bachāyā kinārā chalā gayā
vo pūchhte haiñ kab ḳhudā aayā hai farsh par
ham ne kahā ki tum ko utārā chalā gayā
ham ro rahe haiñ us ko jise koī ġham nahīñ
us ko to kuchh nahīñ thā hamārā chalā gayā
'amrit' tumheñ bhī duniyā barī lagne lag ga.ī
koī to is jahāñ se tumhārā chalā gayā
kuchh der tak to mujh ko nihaara chala gaya
kal subh meri aankh ka tara chala gaya
wo KHush hua ki us ko KHasara nahin hua
main ro raha tha mera sahaara chala gaya
wo guftugu ke waste aaya tha baam par
main chup raha to uTh ke sitara chala gaya
karna tha intiKHab marasim mein ishq mein
main ne sira bachaya kinara chala gaya
wo puchhte hain kab KHuda aaya hai farsh par
hum ne kaha ki tum ko utara chala gaya
hum ro rahe hain us ko jise koi gham nahin
us ko to kuchh nahin tha hamara chala gaya
'amrit' tumhein bhi duniya bari lagne lag gai
koi to is jahan se tumhaara chala gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.