koson dur kinara hoga
kosoñ duur kinārā hogā
kashtī hogī dariyā hogā
paas tumheñ ho tum hī batāo
koī mujh sā tanhā hogā
aao aur qarīb aa jaao
vaqt bhī rasta taktā hogā
tum se hasīñ to aur bhī hoñge
lekin koī tum sā hogā
ab to kuchh bhī yaad nahīñ hai
ham ne tum ko chāhā hogā
ham ne garebāñ chaak kiyā thā
ham ko hī ḳhud siinā hogā
jab ham terā naam na leñge
vo bhī ek zamānā hogā
vo bhī ek haqīqat hogī
jis kā naam fasāna hogā
kal kī fikr kahāñ tak kiije
aur burā ab kitnā hogā
haañ vo 'imām' ik rusvā shā.er
tum ne us ko dekhā hogā
koson dur kinara hoga
kashti hogi dariya hoga
pas tumhein ho tum hi batao
koi mujh sa tanha hoga
aao aur qarib aa jao
waqt bhi rasta takta hoga
tum se hasin to aur bhi honge
lekin koi tum sa hoga
ab to kuchh bhi yaad nahin hai
hum ne tum ko chaha hoga
hum ne gareban chaak kiya tha
hum ko hi KHud sina hoga
jab hum tera nam na lenge
wo bhi ek zamana hoga
wo bhi ek haqiqat hogi
jis ka nam fasana hoga
kal ki fikr kahan tak kije
aur bura ab kitna hoga
han wo 'imam' ek ruswa shaer
tum ne us ko dekha hoga
- Book : paalkii kahkashaa.n (Pg. 179)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.