koi to phul khilae dua ke lahje mein
koī to phuul khilā.e duā ke lahje meñ
ajab tarah kī ghuTan hai havā ke lahje meñ
ye vaqt kis kī ra.ūnat pe ḳhaak Daal gayā
ye kaun bol rahā thā ḳhudā ke lahje meñ
na jaane ḳhalq-e-ḳhudā kaun se azaab meñ hai
havā.eñ chīḳh paḌīñ iltijā ke lahje meñ
khulā fareb-e-mohabbat dikhā.ī detā hai
ajab kamāl hai us bevafā ke lahje meñ
yahī hai maslahat-e-jabr-e-ehtiyāt to phir
ham apnā haal kaheñge chhupā ke lahje meñ
koi to phul khilae dua ke lahje mein
ajab tarah ki ghuTan hai hawa ke lahje mein
ye waqt kis ki raunat pe KHak Dal gaya
ye kaun bol raha tha KHuda ke lahje mein
na jaane KHalq-e-KHuda kaun se azab mein hai
hawaen chiKH paDin iltija ke lahje mein
khula fareb-e-mohabbat dikhai deta hai
ajab kamal hai us bewafa ke lahje mein
yahi hai maslahat-e-jabr-e-ehtiyat to phir
hum apna haal kahenge chhupa ke lahje mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.