koi silsila nahin jawedan tere sath bhi tere baad bhi
koī silsila nahīñ jāvedāñ tire saath bhī tire ba.ad bhī
maiñ to har tarah se huuñ rā.egāñ tire saath bhī tire ba.ad bhī
mire ham-nafas tū charāġh thā tujhe kyā ḳhabar mire haal kī
ki jiyā maiñ kaise dhuāñ dhuāñ tire saath bhī tire ba.ad bhī
na tirā visāl visāl thā na tirī judā.ī judā.ī hai
vahī hālat-e-dil-e-bad-gumāñ tire saath bhī tire ba.ad bhī
maiñ ye chāhtā huuñ ki umr-bhar rahe tishnagī mire ishq meñ
koī justujū rahe darmiyāñ tire saath bhī tire ba.ad bhī
mire naqsh-e-pā tujhe dekh kar ye jo chal rahe haiñ unheñ batā
hai mirā surāġh mirā nishāñ tire saath bhī tire ba.ad bhī
koi silsila nahin jawedan tere sath bhi tere baad bhi
main to har tarah se hun raegan tere sath bhi tere baad bhi
mere ham-nafas tu charagh tha tujhe kya KHabar mere haal ki
ki jiya main kaise dhuan dhuan tere sath bhi tere baad bhi
na tera visal visal tha na teri judai judai hai
wahi haalat-e-dil-e-bad-guman tere sath bhi tere baad bhi
main ye chahta hun ki umr-bhar rahe tishnagi mere ishq mein
koi justuju rahe darmiyan tere sath bhi tere baad bhi
mere naqsh-e-pa tujhe dekh kar ye jo chal rahe hain unhen bata
hai mera suragh mera nishan tere sath bhi tere baad bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.